Zoya ka Dil toot Chuka Tha.....
Usne ayaan Ki taraf EK Baar bhi peeche mudh kar Nahi dekha.aankhon me aansu aur dimag me hazaar sawal lekar woh seedha Ghar chali gayi.
Kaise kar sakta Hai ayaan aisa woh khud se Baar Baar pooch rahi Thi
Dusri taraf
Ayaan gusse aur frustration me tha usne turant Rehan ka collar pakad Liya
Tumhari himmat Kaise hui Meri life ke baare me aisa bolne Ki
Rehan ne uska Haan jhatk Diya
Sach se Bhaag Nahi sakte ayaan
Ayaan Ki aankhon me gussa Tha lekin sath EK darr bhi
Raat Ko.....
Zoya ko phir se usi unknown number se message Aaya
Agar Poora sach jaanna Hai.... To Kal shaam 5 baje old library ke peeche Milo
Zoya ka Dil zor se dhadkne Laga....
Yeh sab Kya ho raha Hai
Lekin iss Baar usne decide kar liya
Mughe sach jaanna hi hoga
NEXT DAY OLD LIBRARY KE PEECHE
hawa Tez Chal rahi Thi mahol already scary Sa lag raha Tha
Zoya wahan pahunchi....
Hello Kaun Hai wahan usne dari hui
Awaaz me Kaha
Tabhi dheere dheere koi saamne Aaya
Zoya Ki saansein ruk gayi
Tum...?
Woh ladki Thi
EK aisi ladki jise zoya ne pehle Kabhi Nahi Dekha Tha lekin uski aankhon me ajeeb Sa Dard Tha
Tum zoya ho na us ladki ne poocha
Zoya ne Haan me sir hilaya
Ladki ne seedha Kaha
Main woh ladki hoon jiske baare me Rehan ne bataya Tha
Zoya shock me jam gayi
MATLAB ayaan ne uski awaaz hi Nahi Nikal rahi Thi
Ladki Ki aankhon Mai aansu aa Gaye
Usne sirf Mera Dil Nahi toda
Woh ruk kar boli
Main ayaan Ki wajah se sab kuch kho Chuki hoon
Par sach itna simple Nahi ha us ladki ne kaha zoya ne confuse ho kar poocha Kya MATLAB Hai tumhara
Ladki ne zoya Ki aankhon Mai dekhte hue Kaha
Ayaan ne mughe Kabhi dhoka Nahi Diya balki
Rehan Hai jisne Meri zindabi barbaad kar di
Zoya ekdum se peeche hat gayi
WHAT
Tum kehna Kya chahti ho MATLAB Rehan dhokebaaz Hai
Uske dimag Mai sab kuch ghumne Laga
Rehan Jo itna seedha aur caring lagta Tha
WOH HI VILLAIN THA
Tabhi peeche se awaaz aayi
Sach Jaan hi Liya tumne
Zoya ne mudh kar Dekha
Rehan waha khada Tha halki Si smile ke sath
