Cherreads

Wounded childhood

Is duniya me ek ladki sab se jyada bharosha apne baap pe karti h. Baap apni beti ke liye hero hota h. Per kya har baap hero hota h ? Kya har baap apni beti ki raksha karta h? Ye Kalyug hai yaha koi kisika nhi hota. Har beti apne baap pe bharosha nahi kar sakti. Har beti apne Ghar me surakshit nahi reh sakti. Bharat Desh me har din rape hota hai. Kuch rape ke baare me pata chal jata h ..per..jo rape ghar me hote hai wo kaise pta chalega. Chaliye me aapko ek ladki ki kahani sunati hu . Ek aisi ladki jo apni kismat me dard ke alawa kuch nhi leke aayi thi. Uski life me khushiyan jarur aati thi per kuch samay ke liye jitni uski khushiya hoti thi us se jyada use takleef milti thi. Ye ek real story hai jo mujhe kisi apne khaas ne bataya tha.

Ek chhota sa gaon tha , us gaon me ek pyari si ladki paida hui. Paida hone se pehle hi usne apni maa ko Marne layak bana diya tha uski maa marne wali thi...jis din wo paida hui us din saraswati mata ka Puja tha..jaise hi wo paida hui..uske chacha bhagte hue aaye aur bola ki sakshat saraswati Paida hui h ..usi pal uska naamkaran ho gaya. Uska naam rakha gaya Saraswati. Us chhoti si bachi ko kya pata tha wo kaise ghar me Paida hui h. Wo baki bacho ki tarah badi Hui khelte khudte. Use aane wala toofan ke baare me jara sa bhanak nhi tha. Wo masoom si bacchi ek baar raste pe jaa rahi thi chalte hue...peeche se ek kidnapper aaya aur use bola ki , "mein tumhe biscuit dunga kya tum mere saath chalogi?" us 5 saal ki bachi ko kya pata tha wo beth gayi uske saath....shukra tha us aurat ka jisme use dekha aur bacha liya us haivan se. Ye toh sirf shuruat tha abhi toh aane wala toofan baaki h. Wo haivan toh asli haivan ke saamne kuch nhi tha. Haivan agar bahar ka ho toh ham lad sakte h uske khilaf per haivan agar khud ke gahr me ho toh ham unse kaise lade.

More Chapters