Raat ka waqt thaa....
Raat ka waqt tha…
Ghar me sab log so chuke the. Hall ki lights band thi, sirf Zuni ke room me halki si roshni jal rahi thi...
Zuni bed ke kone par baithi thi… uske haath abhi bhi halka sa kaanp rahe the.
👉 "Wo kya keh raha tha…?"
Uske dimaag me Ali ke lafz baar baar goonj rahe the:
👉 "Main tumhe bachana chahta hoon…"
👉 "Jisey tum dushman samajh rahi ho… wo main nahi hoon…"
Zuni Gusse se uthti hai.... yah sab Jhooth hai sirf bachne ke liye drama kar raha hai.... Wo Tezi se Door ki taraf badhti hai..... par Jaise hi handle pakdti Hai.... Ruk Jaati Hai par Agar wo Sach Kah Raha ho to....
uska Dil Ek Pal Ke Liye confuse ho jata hai Achanak door dheere dheere se khulta hai Ali andar Aata Hai Uska Chehra calm tha .....
Par Aankhon Mein thakan Aur Dard saaf dikh raha tha... tum abhi tak Soyi Nahi ....
usne Dhire se pucha zuni turant gusse Mein a Jaati Hai ...
Mujhe tumse baat nahi Karni .....
Ali thoda pass aata hai...
Par mujhe karni hai.....
Zuni uski taraf ghur kar dekhti hai...
👉.ek baat clear kardo....
Kya tumne mere bhai ko maara hai..
Ya nhi...
Room mai ek dum se khamoshi chaa.
Jaati hai....
Ali kuch seconds tak us ko dekhta rehta hai.....
Phir dheere se bolta hai:
👉. Nahi..."
Zuni ka gussa aur badh jaata hai...
Jhooth...maine apni aankhon se dekha tha.....!
Ali ek kadam aur paas aata hai.
👉 "Jo tumne dekha… wo aadha sach tha…"
Zuni ka dil zor se dhadakta hai.
👉 "Toh poora sach kya hai?"
Ali chup ho jaata hai.
Jaise wo kuch bolna chahta ho… par rok raha ho.
👉 "Main tumhe abhi sab nahi bata sakta…"
Zuni cheekh padti hai:
👉 "Kyun?!"
👉 "Kyuki tum khatre me ho!"
Ali ki awaaz pehli baar tez hoti hai.
Zuni ek pal ke liye shock ho jaati hai.
👉 "Mujhe kaun maarna chahta hai…?"
Ali dheere se kehta hai:
👉 "Jis par tum sabse zyada bharosa karti ho…"
Zuni ke dimaag me turant kuch chehre aate hain…
Par wo believe nahi kar pati.
👉 "Impossible…"
Ali uske bilkul kareeb aata hai.
👉 "Mujh par bharosa karo, zuni… warna der ho jayegi…"
Zuni ka dil zor se dhadak raha tha…
Usse samajh nahi aa raha tha ki wo kya kare…
👉 Nafrat kare…
👉 ya uski baat maane…
👉 "Main tum par kyun bharosa karun?"
Usne dheere se poocha.
Ali kuch seconds chup rehta hai…
phir dheere se bolta hai:
👉 "Kyuki agar main tumhara dushman hota…
toh tum aaj zinda nahi hoti…"
Zuni ki saanse ruk jaati hain.
Uska dil ek pal ke liye darr se bhar jaata hai…
Usi waqt…
Bahar se kisi cheez ke girne ki awaaz aati hai…
dushman....!
Dono ek dum se door ki taraf dekhte hain...
Ali turant serious ho jaata hai...
Wo yahan aa chuka hai....."
Zuni puchti hai...👉.kaun.....?
Ali dheere se kehta hai:"""
👉"tumhara asli dushman..."
👇
👇
"Jise main apna dushman samajh rahi thi…
shayad wo meri hifazat kar raha tha…
aur mera asli dushman… mere ghar ke andar hi tha…"
