Cherreads

Chapter 4 - The kidnapper..(psycho). episode 4

Usne chup chap se saara khana kha liya....

Ha vahi khana jo mere gale ke niche bhi nahi utar Raha tha, usne kaha chalo ek game khelte hai , usne ek glass me dudh daala or usme dher saara mirchi powder daal diya, or kaha jo haarega use ye dudh ka glass khatam karna hoga.

Mera gala sukh sa gaya ye sub chize dekhkar , matlab kya kon harega offcourse me harungi...

Isse acha to Ghar hi chali jaati , yaha mere saath ye sub kya ho raha hai 😖 or ab ye na jaane konsa Jaan lewa game khilane wala hai, meri halat kharab ho gayi thi.

Usne muje awaaz lagaya or upar wale kamre me bulwaya

Me dhire dhire upar Jane lagi ki kam se kam kuch second ke liye to Bach jaungi, mera to upar jaane ka man hi nahi tha,

Bahri Mausam fir ban chuka tha barsat hone ka. Ase lag raha tha Mausam bhi chikh chikh kar kah raha ho bhaag jao yaha se Varna Zindgi bhar yaha ase hi Jaan lewa game khelti rahogi.

Usne kaha jaldiii aao 😤, usne kaha game hoga breathing wala , usne apne watch me stopwatch chalu kiya or kaha is game me saas rokna hoga , jo jitne second ka saas rok sakega vo jitega haarne wale ko bohat nuksaan hoga, us psycho ne tikhe andaaj me kaha " pahle kon shuru karega game"??? me boli pahle ap! Usne pucha kyu ??? Me thodi der chup thi fir boli kyuki apko dekhkar thoda me game ke baare me jaan paungi 🥲, ⏱️ usne stopwatch me timer 00:00 kiya or kaha apni ek ungli mere naak ke niche lagao jisse tumhe pata chalega ki me saas le raha hu ya nahi .

To ab game start hota hai 3 2 1 . Me bus itna soch rahi thi vo psycho jaldi haar jaaye kuch minto me ke second me hi 😛, thodi der baad jab mene stopwatch ki taraf dekha to payi 03:01 ho gaya tha pure 3 minute 🥲😬.

Koi aam insaan itni der tak saas kaise rok sakta hai muje to yakin nahi ho raha tha 🥺. Ab mera kya me to 1 minute bhi saas nahi rok sakti dhire dhire dekhte hi dekhte 6 minutes ho gaye the usne abhi tak saas nahi liya tha, mene kaha usse ki ab ap saas le sakte ho me vaise bhi haar ki chaukhat par aa chuki hu 🥺. Uski aakhe laal ho chuki thi meri baato ko ansuna karke usne abhi tak game khatam nahi Kiya tha kariban 9 minutes ho chuke the, vo muje ek jungli bhalu ki tarah dekh raha tha , ab 10 minutes pure ho chuke the ,itna sub dekhne ke baad me samaj gayi ye koi normal insaan nahi hai ek dimagi marij hai jise doctor ki jarurat hai, is insaan ne nature ko bhi pachad diya tha, ya fir isne ek naya world record banaya 😬. Kya me world record walo ko call kardu 😛🤣. Oppss game chalu hai 😷.

Me kyu has rahi hu abhi to mujhe vo mirchi wala dudh bhi Pina hai😖.

Usne pure 15 minutes baad saas liya mere to dum nikal gaya tha use dekhkar , me sochi ab to compitition ka sawal hi nahi hota kyu na me ase hi haar maan lu ??????

Usne saas rokne ke baad ek ghut bhi paani nahi Piya ekdum normal tha jaise usne kuch nahi kiya ho.

Ab meri baari aayi muje 15 minutes se 1 second jada tak saas rokna tha lekin kya ye kaise possible hoga me to nahi kar sakti to jaldi se mene vo dudh ka glass uthaya or pine hi Jaa rahi thi ki itne me usne muje rok diya or kaha game to khelna hi hoga.....

Or ab is game me usne sharte bhi rakh di thi, ager me 5 minute bhi kar li to me ye game jit jaungi or vo mirch wala dudh ka glass vo piyega.

Ab kya, fir bhi mere jitne ke chance 0.0% the me to 1 minute bhi na kar pau, mene use jhijhakte huye kaha me har jaungi please ap ye sub band kar dijiye usne ek bhayanak smile di muje or mere baal pakad liye me chillayi ( aaaaaaaa) DARD HO RAHA CHODHO

Usne kaha muje ajke baad kabhi bhi na karne ko himmat mat karna Varna Jaan se haath dho baithogi, me baar baar use ek aam insaan samajhne ki bhul kar rahi thi , fir muje ekdum se yaad aa jata me kidnap hu or ye mere samne wala insaan sirf kidnapper hi nahi psycho bhi hai, mene ab apna tej dimag chalana shuru kardi, ye insan emotionally kaafi tortured hua lagta hai iske saath ager me acha behave karu, iski baate maanu, isse haskar baate karu to ye bahkawe me aa jayega 💡.

To ab shuru hota hai mera plan....

Mene uske haatho par apne haath rakhe or pyar se kaha me ye game haar jaungi... Ap to kaafi talented hai , apne kaise kar liya ye , kya ap 30 minutes Tak bhi apni saase rok sakte ho???

Meri ye baate sunkar uski saase tej ho gayi or vo halki halki psycho type smile karne laga or najre yaha vaha kar sub jagah dekhne laga or kuch bad bada raha tha, ab jo usne kaha usse meri dil nam ho gayi.

( MERI MUMMY BHI MUJHE TALENTED KAHTI THI) uski ye baat sunkar me ashcharya chakit ho gayi ki kya iski family bhi thi ??? Or ye is halat me kaise pohcha , bohat saare sawal mere dimag me dagmagane lage , bahar bohat tej bijli ki ghadgadahat ho rahi thi , jaise asman ro raha ho , or yaha mere bagal me baitha kidnapper emotional ho gaya tha , mene sochi abse me ase hi iski family ki yaad dila dilakar ise emotional karke bharosa jitungi or yaha se ek din farar ho jaungi ,

Mene uski taraf dekha or usne kaha ( REX )

Me sochi ab ye kya Bala hai rex ????

Vo bola ha" (REX VOLKOV) mera naam"

Meri mummy ne ye naam rakha hai mera , meri mummy duniya ki subse achi lady or unka beta rex duniya ka subse sidha sadha ladka.

Bahar bijli ki tej ghadgadahat...🌩️

Usne jorse chillayaa.... MOMMMM...😭

or rone laga....

me iske pahle ki usse kuch sawal karti vo ek boss jaise baithkar apni nam aakho se mujhe dekhne laga....

To be continue 💝.....

More Chapters