Cherreads

Chapter 4 - adhura pyar horror love story

Rishi ek 30 saal ka auto rickshaw chaalak apane auto rickshaw mai Baitha Tha subah ke 8 baje the wah roj subah saher ke bahaari ilaake mai bus stop per apane sawari ka intazaar Karta Tha yeh jagah thodi sunshaan Thi chaaro taraf hare bhare khet the Rishi ne apane dost vishal se kaha Aaj toh 8 baj Gaye vishal kahata h Bhai tum sawari ka intazaar Karte ho yaa us ladki ka Rishi kahata mai kiska intazaar Karta hu yeh tumhe pata h Rishi ko vishal Ki baat per gussa Nahi hota h kyunki wah sach kah raha Tha pichale kuch mahineo se uski subah Ki pahli sawari ka intazaar us ladki Ke intazaar mai badal Gaya Tha Har subah thik 8:15 per ek ladki bus se utarti Thi wah hamesha sadharan salvaar kameej pahine Hoti Thi aur uskai aankho mai ek ajeeb se chamak Thi wah Kabhi bhi Kisi se baat Nahi Karti Thi bus se utarkar bs us Disha mai jaati thi jaha aage gaav padhata Tha Rishi use roj dekhata Tha uski saadgi uski aankho Ki chamak use dheere dheere pasand aane lagi Thi wah her subah 8:15 ka intazaar Karne Laga Tha sirf use ladki ki ek Jhalak paane ke liye Jb usane ladki ko bus se utarte Rishi ne khud se vada Kiya Aaj toh jarur baat karunga use Kahi chod Dunga phir Usase uska Naam puchunga tabhi 8:15 per bus aayi aur wah ladki utari Rishi ka Dil Jor Jor se dhadkane Laga usane auto chalu Kiya tabhi uski ek dusari sawari aa gayi ,bhaiya mujhe station tak le chalenge Ramesh niraash ho Gaya .usane ladki ko jaate Dekha Shaam Ko Vishal Jb Rishi se Mila ,Vishal ne pucha Kya Hua Bhai ,kuch Nahi Aaj phir se Usase baat Nahi kar Paya per chaahe kuch bhi ho jaaye Kal mai Usase baat Nahi kar Paya per chahe kuch bhi ho jaaye Kal mai Usase jarur baat karunga.uska intazaar ab sirf sawari ka he Nahi balki us anjaan ladki ka Tha jisase wah pyaar Karne Laga tha.agali subah Rishi thik 8 baje bus stop per pahuch Gaya usane apane auto ko us jagah per park Kiya jaha per wah use ladki ko aaye hue dekh sakta Tha uska Dil Jor Jor se dhadkane Laga Tha dhak-dhak_dhak Aaj Usase baat Karne he h jaaye Joh ho jaaye tabhi waha Vishal aa Gaya are Bhai Aaj itana jaldi Kya baat h Rishi ne jooth bol Diya mujhe station jaana Tha per Vishal sb jaanta Tha use kaha jaana h thik 8:15 per bus aayi aur wah ladki utari Rishi ne auto start Kiya aur dheere dheere uske picche chalane Laga Jb wah uske kareeb pahucha toh wah horn bajaane Laga ladki chauk kar uthi wah picche mudhi Aaj usane pile rang ka salvaar kameej pahani hue Thi aur uske kaale baal aankhe badi aur khubsurat Thi thik vaisi Jaise Rishi ne umeed Ki Thi.Namaste 'kya Mai aapko Kahi chod du.ladki ne use kuch second tak Dekha uski aankho mai koi bhaav Nahi Tha usane kaha dhanyvaad mai paidal he chali jaaungi Rishi ne himmat Nahi haari usane kaha barish hone wali h agar aapko koi pareshaani hogi toh bataayega ladki ne halki se muskaan de aur kaha thik h Joh Rishi ke Dil mai utar gayi Rishi phir ritika aage badane lagi Rishi ne Usase use din aur baat Karne Ki himmat Nahi juta Paya ladki aage bad gayi Rishi Jb Vishal se Mila usane kaha yrr mujhe Usase baat Karne h toh Vishal ne kaha toh kar lo naa baat woh bus tumhari vajh se aati h.Rishi ne uski baat per dhyaan Nahi Diya.agali subah Rishi waha Gaya teji se barish ho rahi Thi usane kaha Aaj ek bhi sawari Nahi milegi tabhi 8:15 per bus aayi wah ladki bus se utari wah thodi bheej chuki Thi

Iske aage Ki kahani mai agale part mai batungi comment karke batana story Kaisi lagi tb mai aage Ki kahani likhungi

More Chapters